Tuesday, April 25, 2017

Raqeeb

Raqeeb 

Dil mai kuch is tarah utara hai tujhe 
Ki koshih hi Nahi karte tujhe pane ki.

Is kadar in ankhon mai sanjoye hai tujhe
Ki  fikar hi Nahi hai tere kho jane ki. 

Nikal jati hai dur, Aagosh mai jab lena chahe
Tu mashooq hai ya ret samundar k kinaron ki.

Sang majnu k hoke bhi saath Nahi hai tera
Tu Laila hai ya parchai is deewane ki

Ab to aalam Ye hai sangdili ka tere
Hume yaad karne k liye bhi zarorat hai kisi bahane ki 

Par hum bhi aashiq purane hai tere O sanam
Ta umra dekhenge raah tere aane ki 


:) Appy 

Kafir



Mehboob ne pooch k humse pyar ka matlab
Is deewane ko shayar bana dia.
Darte na the hum jaan dene se kabhi
Usne pyar kar k hume kayar bana dia

Hoga jarror saath Tera pichle janam mai kahin
Yun hume Teri baaton  ka kayal bana dia
Likhte the hum jhakhm bharne k liye
Tere deedar ne aaj fir ghayal bana dia

Tu hi ho dil mai bas aur na koi
Is arzoo ne zakir bana dia
Khuda ne maan k khwahish ye meri
Apne hi bande ko kafir bana dia


Shukriya Doston

Appy :) 

Tuesday, November 15, 2016

The Quest



Where the sun makes way for the moon 
Where the waves greet the night in bloom! 
Where the words aren't needed only thoughts prevail
Where the peace is everywhere to avail 

Where the night is true And light is original 
Where the stars twinkle with infinite glimpse of distant worlds 
Where the Reflection of the times beyond all 
Where the destiny draws its own call 

Where you become one with the nature and all are connected 
Where the ties to life are resurrected 
Where branches leads to the same root 
Where the earth is mother and we are just fruits 

Going where we come from, coming from where we go again 
Taking birth to die or dying to be born again?


Appy

Monday, July 27, 2015

दिल्लगी

दिल्लगी

मरहम जख्म पर लगाना आपको खूब आता है
हम इसी इंतज़ार में  घायल हुए बैठे हैं

नज़र भर देख लो तो फूल खिल जाये चमन मे
हम उस नूर की  चाहत मे पंखुरियाँ  समेटे  हैं


चिरागो की रौशनी का सबब है ये आँखे, जो देखे दीवाना हो जाए,
हम एक  झलक पाने को उनकी, इस शमा के परवाने हुए बैठे  हैं .

तेरे आने के पैगाम देती हवाएँ , यूँ मदमस्त बहे जाती है
हम तो उनके संग झूमता एक, बरसाती बादल बने बैठे हैं

करिश्मा कुदरत का हो, या फरिश्ता खुदा का
ये सवाल हम कब से जेहेन मे लिए बैठे हैं

तेरी बातों की महक थी या, इन अदाओं की खुशबू,
हम उस दिन से अपनी सासों को  कैद किये बैठे हैं

न आएगी मौत भी तुझे देखे बिना, इन ज़ख़्मों कि किसे फ़िक्र है,
हम तेरे उस आखरी दीदार के लिए,जान हथेली पर लिए बैठे हैं.



शुक्रिया दोस्तों!

अर्पित


Garmiyon Ka ekdin!




Subah ki meethi Neend Se Khud uth jana
Papa k Saath muh andhere ghoom k  aana
Tod na pata tha neem Ka Datun
Umar mai bahut chota tha shayad

Mummy ne Kaha daud kAr sabji lana
Malin se 50 paise kam karana
Ab na nazar aata is pakki sadak par
Yahan mere Ghar Ka kaccha rasta tha shayad


Din mai doston k saath daudte kadam
Barasti lu mai khelne Ka dum
Dadi ke saath  Mandir ja Kar aana
Kulfi k paison Ka bahana tha shayad

Sham ko gali mai tehal jana
Us khidki par yun tak taki lagana
Kabhi nazar na mili Us chand se
Par wo Bhi Chup k dekhta tha shayad


Raat ko Kacchi si chat par sona...
Haath k bune kapas Ka bichona
Taron Ka jhurmut Yaad Nahi aata
Mai gehri Neend mai soya tha shayad


 Is raat mai beeti yadon ne ghera
Ret Mai banta Dadi Ka chehra
Chhone laga to gum Hua,

Ye bachpan ek Sapna tha shayad


Shukriya Doston!

Appy

Thursday, February 19, 2015

समतल सा सच ||


शीशों  को  चुन  आशियाना  बनाया  हमने 
चलो  इसी बहाने किसी  को  पत्थर  तो  न  मारेंगे 
इन  हंसी  की दीवारों  के  साये  मे 
हम  कुछ  ग़मों  को  छुपा  लेंगे  


इस  मीठी नींद  मे  चलते-चलते  
सपनो  को  हम  हक़ीक़त  जानेंगे 
जब  रूबरू  होंगे  कड़वे  सच  से 
फिर  हम  उसे  सपना  मानेंगे 


घूमते  है  हम  तराज़ू  हाथ  मे  लेके 
हर  रूह  को  हम  उसमे  तोल  डालेंगे .
अपने  मतलब  के  वजन  रख  रख  कर 
काटें जहाँ  चाहे  घुमा  लेंगे 


दुआओं  की  ताक़त  से  चलती  खुशियां 
कब  तक  हम  इन्हे  अपना  किया  मानेंगे 
जब  खो  जाएँगी  समुन्दर  की  गहराई  मे 
हम  फिर  किनारे  की  खाक  छानेंगे


रेट  की  तरह  फिसलती  ये  ज़िन्दगी  
इन  हसरतों  के  पीछे  कब  तक  भागेंगे 
एक  तोला  भर  हंसी  किसी  चेहरे  पर  ला दे 
बस  आरज़ू  दिल  मे  यही  पालेंगे 


ना कभी  शुरू  न  खत्म  ये  सफर  
इस  रास्ते के  पड़ावों को क्यों  मंज़िल  मानेंगे 
इन  गीले  शिकवों  से  दूर  निकल  कहीं  

एक  समतल  सा  जहाँ  बना  लेंगे 


Wednesday, November 13, 2013

Taron ki chadar tale

EkDin

Dhalti shaam humse yeh keh gayi, is raat Mai kuch kami reh gayi
taron ki chadar tale baithe is dil main, kuch khwaishen dabi reh gayi.

Raat Ke aagosh mai chand falak tak pahuncha, Sab roshan tha, par chandani Ki Kami reh gayi
Simti si, sehmi si, ek arzo dil ne ki, samundar ki lehron Mai wo dabi reh gayi!


Unchi imaraton ki chakachoundh mai nahaye, andhere k Haath thodi jamin reh gayi...
Khwabon ko haqeqat mai badlte hue, aaj Sapno ki kami reh gayi


Is sheher ki har cheez apni lagti hai, par aaj fir apno ki kami reh gayi!
Unki yaad jo chookar guzri hume..in palkon Mai nami reh gayi

Palkon ne bachaya lakh hume, Ye ankhen to un par jami reh gayi,
Dekhi humne dunia Bahut, dil padhne wali  nighaon ki kami reh gayi

Kehte hai sirat Badi hai shakal se, is numaish Mai Surat ki kami reh gayi
Chand sikkon ki mohtaj Ye duniya, ishq Ke khoon se Sani reh gayi

Bharosa bahut hai apne pyar par, kya asman kya jamin reh gayi
Chaha kisiko itne dil se, bas iqrar e himmat ki kami reh gayi!

Samundar faila hai Charon aur yahan..pyas Bujhati barish yun thami reh gayi,
Subah ki lali ne rang diya asma, Os ki bundein fir pattiyon par jami reh gayi

Taron ki chadar tale baithe is dil Mai kuch khwaishen dabi reh gayi.



Shukriya Dotson,
Appy