Wednesday, November 13, 2013

Taron ki chadar tale

EkDin

Dhalti shaam humse yeh keh gayi, is raat Mai kuch kami reh gayi
taron ki chadar tale baithe is dil main, kuch khwaishen dabi reh gayi.

Raat Ke aagosh mai chand falak tak pahuncha, Sab roshan tha, par chandani Ki Kami reh gayi
Simti si, sehmi si, ek arzo dil ne ki, samundar ki lehron Mai wo dabi reh gayi!


Unchi imaraton ki chakachoundh mai nahaye, andhere k Haath thodi jamin reh gayi...
Khwabon ko haqeqat mai badlte hue, aaj Sapno ki kami reh gayi


Is sheher ki har cheez apni lagti hai, par aaj fir apno ki kami reh gayi!
Unki yaad jo chookar guzri hume..in palkon Mai nami reh gayi

Palkon ne bachaya lakh hume, Ye ankhen to un par jami reh gayi,
Dekhi humne dunia Bahut, dil padhne wali  nighaon ki kami reh gayi

Kehte hai sirat Badi hai shakal se, is numaish Mai Surat ki kami reh gayi
Chand sikkon ki mohtaj Ye duniya, ishq Ke khoon se Sani reh gayi

Bharosa bahut hai apne pyar par, kya asman kya jamin reh gayi
Chaha kisiko itne dil se, bas iqrar e himmat ki kami reh gayi!

Samundar faila hai Charon aur yahan..pyas Bujhati barish yun thami reh gayi,
Subah ki lali ne rang diya asma, Os ki bundein fir pattiyon par jami reh gayi

Taron ki chadar tale baithe is dil Mai kuch khwaishen dabi reh gayi.



Shukriya Dotson,
Appy